Jagah jagah badh rahi avargee
Arthiyan nikal rahi hai pyar ki
Preet aaj reet ban kar rah gaye
Hai hukumat vair ki takrar ki
Pyar to parmatma ka phul hai
Pyar ki sugandh hi to mul hai
Dusre ki cheez pe na maan kar
Hai amanat zindgee din char ki
Pyar hi to Ishwar ka naam hai
Akhand hai, Aanant hai, Anaam hai
Karm ke bina na yan phal sake
Karm hi pehchan hai Guftaar ki
Pyar ki galyion mein hai parmatma
Yaar ki taliyoon mein hai parmatma
Pyar ki bina bekar Zindgee
Pyar hai sogat Nirakar ki
Jeharko amrit banana sikh lo
Kahar ko dil se mitana sikh lo
Gyan lekar rakh na do tijoriyon mein
Gyan ko bhi chahat hai vistar ki
Preet ke jo geet gata jayega
Anand hi anand pata jayega
Dub na jaye kanhin sansaar ye
Bant do saugaat isme pyar ki
Dub jao pyar ke sangeet mein
Aatma, parmatma ke geet mein
Viswa aaj apko hai dekhta
Zindgee ko hai zarurat pyar ki
- GULSHAN KANPURI
No comments:
Post a Comment